Saturday, 29 September 2012

tumne..

Subah ki tarah tumne raat ko chod diya
raat ki tarah tumne sham ko akela kia
kashti ki tarah tumne kinaron ko awara kia
maut ki tarah tumne zindagi ko bayr kia

par waqt ki chakravyuh hai yeh
subha,raat,kashti aur maut sab wapas ajate hai

par tumne yeh kya silsila kiya ki
tum to chali gai, par yaadein mujhe chodti hi nahi

No comments:

Post a Comment