Wednesday 7 May 2014

kuch tho mein piche chod aya...aur aap!

कुछ तो मैं  पीछे छोड़ आया 
तब के कुछ अजीब पर सुन्दर रंग 
आसमां थ लॉ और उड़तीं कोयल हरि 
पर भी था  मनपसंद मेरे 
तपती धुप में खेलते था नंगे पैर
कुछ तो मैं  पीछे छोड़ आया
पैसे थे  कम पर खुशियाँ ज़्यादा
समय था  ज़्यादा ; काम  बहूत  कम 
शाम कि वोह डिज्नी hour सबसे हसींन 
तारों कि नीची बनती  थी कई  नई कहानीयाँ 
कुछ तो मैं  पीछे छोड़ आया
स्कूल की homework थी बहुत ज़रूरी 
वरना अगले दिन पडती थी मार 
वह मिलके एक रूपए क ice cream
कोई match पर थी  पसन्द 
कुछ तो मैं  पीछे छोड़ आया
उन रास्तों पर दोस्तों को  चिढ़ाने खुसी 
फिर छोटी छोटी लड़कपन पर थे बहुत ज़रूरी 
फिर वही दोस्तों  से दोस्ती थी अटूट 
और वह पहली बार लड़की से प्यार 
कुछ तो मैं  पीछे छोड़ आया



Friday 24 January 2014

Sapna...enjoy your dreams...!

Khushiyan kisi ki mohtaaj nahi hoti , zindagi Yuhi ittefaq nahi hoti. Kuch tho Maine honge warna Yuhi apse mohabbat na kar baithtey.  Pyar, aashiqui sirf lafzon ke sivah aur kuch nahi, Lekin ab toh yeh lafz bhi gun guna rahe hai. Tum ek awaaz ho Jo Mai kal bhi Sunna chahunga,Tum ek chehra ho Jo mere nazron ke saamne har baar ...... har raat ati hain
Agar main uth jau toh Tum jaag jaogi....aur agar Tum jaag jaogi toh chali jaogi...aur agar Tum chali jaogi toh main itne kareeb se tumhe kaise dekhunga....? Mujhe nahi malum ki Tum kaun ho, par  agar Tum sapna ho to roj aisa hi aya karo.
Kyunki zindagi ko jaag ke Dekha hai Kai baar, sapnein Mai abhi aur dekh raha Hun.... Isilie kehta hun...
Khushiyan kisi ki mohtaaj nahi hoti , zindagi Yuhi ittefaq nahi hoti. Kuch tho Maine honge warna Yuhi apse mulaaqat na hoti.

Thursday 17 October 2013

koi rok le mujhe yahi, chale jaunga mein...

chale thandi hawa sang man bhi gaya
tairta hai dil kahi fir hoga kaha ?
koi rok le mujhe yahi chale jaunga mein
baj raha hai jal tarang saanso si hai dhun uski
baarish ki boondh ki tarah komal si muskaan uski
koi rok le mujhe yahi chale jaunga mein
chand si chamak hai pyaari si aahat teri
sama gayi hai tu mujh mein
koi rok le mujhe yahi chale jaunga mein

happie birthday razzaq!! please dont give up !

dhundla hua hai sama tere samney
rah ko saaf kar agey bade chal
badan ho agar tera chur chur
jhatka key fir bhi tu chal akela
teri awaaz pe koi nahi ayega
fir bhi sambhalna hai tujhe
pyaar se agar na ho kaam
nafrat ko saathi bana le apna
yeh zindagi hai saali kamini
tu bhi ban ja aflatoon
bas yeh ek baat hai tujhe manna
jab tak tujhe kuch sahi na lage
galat ko sahi tujhe hai karna
akela hai nahi thu is rastey par
saath hai meri dua hamesha!!

Sunday 4 August 2013

yaadein doston ki..

Zindagi nahi hume dost hai pyari
dosto pe hazir hai jaan humari
Aankhon mein humari aansu hai to kya
jaan se bhi pyari muskaan tumhari
Peena to ab adat si ho gai
kabhi tumhare aansu ki namkiyat
tho kabhi tumhare hansi ki mithas
Yaad ate ho sab tum 
koi purane gane ki mukhre ki tarah
Gana hai fir tum logon ke saath
hasna hai fir un purane lamhon par saath
Yaadein..ab bhi yaad ati hai
nazar na lage kabhi chasme buddoor 
hamare is rishtein par !

Saturday 27 April 2013

Ab khud ko mein nahi pehchanta !

Ab khud ko mein nahi pehchanta !
log mujhse puchte hai mein kaun hain
rastein mujhse kehte hain mein hu kaun
yeh sama hain kuch anjaani
saansein bhi hue bewafa
Ab khud ko mein nahi pehchanta !
Chehre hain mere anek
karne aya tha mein bahut kuch
mein kya leke aya tha aur kya leke jaunga
kho gaye hain sab kahi
Ab khud ko mein nai pehchanta !
Rab se hai ek hi dua
ki koi tho mujhe jane
ruh mein mere ab kuch tho mehsus hoe
Aur mein jaan jau ki hu mein kaun
kya tha tab 'mein" aur aaj kya hun 'mein'
aakhir ab tho mein khud ko pehchan jau

Friday 26 April 2013

Chale ja raha hun...


zindagi hai neela samandar
door door tak zameen hai nahi dikhta
chale ja raha hun
chale ja raha hun

rastey hai akele 
saath koi nai hai
chale ja raha hun
chale ja raha hun

Pyar dhund raha hun
nafrat se ho rahi hai mulaqat
chale ja raha hun
chale ja raha hun

Ab lagta hainafrat ko saathi mankar
neele samandar ko par karna hai
dar lagta hai doob na jau
intezar hai bas tumhara 
ki kab tum saath chaloge !